Testo Tumhen Dillagi Bhool Jaani Padegi - Nusrat Fateh Ali Khan

Tumhen Dillagi Bhool Jaani Padegi - Nusrat Fateh Ali Khan
Informazioni sulla canzone In questa pagina puoi leggere il testo della canzone Tumhen Dillagi Bhool Jaani Padegi , di -Nusrat Fateh Ali Khan
Nel genere:Музыка мира
Data di rilascio:10.09.2015
Lingua della canzone:turco

Seleziona la lingua in cui tradurre:

Tumhen Dillagi Bhool Jaani Padegi
Tumhen dil lagi bhool jani padegi
Muhabbat ki rahon mein aa kar to dekho
TaDapane pe mere na phir tum hasoge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho
Wafaon ki humse tawwaqo nahin hai
Magar ek baar aazamaa kar to dekho
Zamaney ko apanaa banaa kar to dekha
Hamey bhi tum apana banaa kar to dekho
Khuda ke liye chor do abb yeh parda
Ke hain aaj hum tum nahi ghair koi
Shab-e-vasl bhi hai hijaab iss khadr kyun
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho
Jafa’ein bahut ki bahut zulm Dhaye
Kabhi ek nigah-e-karam iss taraf bhi
Hamesha huey dekh kar mujh ko barham
Kisi din zara muskura kar to dekho
Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tumse warna
Sataatey ho din raat jis tarah mujh ko
Kisi ghair ko yun sataakar to dekho
Agar’chey kisi baat per woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni sahi karlo
Woh maaney na-maaney yeh marzi hai unki
Magar unko ‘PURNAM' manaa kar to dekho

Condividi il testo:

Scrivi cosa pensi del testo!

Altre canzoni dell'artista: