Testi Haq Ali Ali Haq (Manqbat) - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

Haq Ali Ali Haq (Manqbat) - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
Informazioni sulla canzone In questa pagina puoi trovare il testo della canzone Haq Ali Ali Haq (Manqbat), artista - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan. Canzone dell'album Best of Shahenshah-E-Qawwal Part 8, nel genere
Data di rilascio: 02.08.2011
Etichetta discografica: oriental star agencies
Linguaggio delle canzoni: Swahili

Haq Ali Ali Haq (Manqbat)

Ali imaam-e-manasto manam Ghulaam-e-Ali
Hazaar jaan-e-giraamii fidaa-e-naam-e-Ali
Haidariam qalandaram mastam
Bandaa-e-Murtaza Ali hastam
Peshvaa-e-tamaam virdaaram
Ke sage kuu-e-sher-e-yazdaanam
Kabhii diivaar hiltii hai, kabhii dar kaanp jaataa hai
Ali kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaanp jaataa hai
Shaah-e-mardaan Ali
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali
Patthar pe alam deen ka garaa jisne
Lalkaar kar Marhab ko pichaaraa jisne
Haq
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali
Jap le jap le mere manvaa
Yahii naam sacchaa hai pyaare
Yahii naam tere sab dukh haare
Isii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol
Shaah-e-mardaan Ali
La fataa illah Ali
Sher-e-yazdaan Ali
Tan par Ali, Ali ho zubaan par Al Ali
Mar jauun to kafan par bhii likhna Ali Ali
Baghair hubb-e-Ali mudd’aa nahiin miltaa
Ibaadaton kaa bhii hargiz silaa nahiin miltaa
Khudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa kii qasam
Jise Ali nahiin milte use Khudaa nahiin miltaa
Basad talaash na ab kuch vus’at-e-nazar se milaa
Nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa
Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamen
Khudaa ko dhuundha to vo bhi Ali ke ghar se milaa
Diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii
Hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii
Gul-e-tathiir Ali
Haq kii shamshiir Ali
Piiron ke piir Ali
Dast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa Ali
Maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali
Jis tarah ek Zaat-e-Muhammad hai be-misaal
Paidaa hu’aa na hogaa ko’ii duusraa Ali
Bedam yahii to paanch hain maqsuud-e-qaaynaat
Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali
Haq
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali

Condividi testi:

Scrivi cosa ne pensi dei testi!

Altre canzoni dell'artista:

NomeAnno
Allah Hoo Allah Hoo 1987
Ali Da Malang ft. Nusrat Fateh Ali Khan 1991
Kirpa Karo Mahraj 2000
Gham Hai Ya Khushi Hai Tu 2018
Piya Re Piya Re 2018
Tumhain Dillagi Bhool Jani Paray Gi 2018
Yad-e-Nabi Ka Gulshan 2010
Woh Hata Rahe Hain Pardah 2009
Yeh Jo Halka Halka Saroor Hae 2009
Ali Ali Maula Ali 2000
Halka Halka Saroor Hai 2018
Fasle Gul Hai Sharab Pee Lejiye 2018
Tumhen Dillagi Bhool Jani Paregee 1988
Yeh Jo Halka Saroor Hae 1987
Aaj Koi Baat Ho Gayi 1987
Mora Piya Ghar Aaya 1993
Yeh Jo Halka Halak Saroor Hae 2011
Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada 2005
Halka Halka Saroor 2018
Gham Hae Ya Khushi Hae Too 1991

Testi dell'artista: Ustad Nusrat Fateh Ali Khan