| Ya Khuda, jism mein, jabtak ye mere jaan rahe | 
| Tujhpe sadke, tere mehboob pe, kurbaan rahe… | 
| Kuch rahe ya na rahe, par ye dua hai ke Ameer | 
| Nizaa ke waqt salaamat mera imaan rahey… | 
| Allah ki hum, jalwagari dekh rahey hai | 
| Ya husn-o-jamaal-e-madani dekh rahey hai | 
| Jis waqt padho, salle-ala-ab-e-Muhammad | 
| Samjho ke Rasul-e-Arabi dekh rahey hai. | 
| Andheri raat hai, shamshudoha ki baat karo | 
| Sitaaron aao, rukh-e-Mustafa ki baat karo | 
| Na ki ro baad mein, koi dusra sawaal karo | 
| Khudara pehle mere Mustafa ki baat karo… | 
| Be-bandagi, urooj kiya, banda kar diya | 
| Taara mere naseeb ka, tabinda kar diya | 
| Itni badi huzoor ki banda-nawaaziyan | 
| Mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya. | 
| Is karam ka karoon shukr, kaise ada | 
| Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya… | 
| Mein sajata tha sarkaar ki mehfiley | 
| Mujhko har gham se Rab ne baree kar diya… | 
| Is karam ka karoon shukr, kaise ada | 
| Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya… | 
| Gham-e-ashiqui se pehle, mujhe kaun jaanta tha | 
| Teri zaat ne banaadi, meri zindagi fasaana | 
| Khaalik ne mujhko meri talab se sivaa diya | 
| Sarmaaya-daar-e-ishq-e-Muhammad bana diya… | 
| Is karam ka karoon shukr, kaise ada. | 
| Aaqa ne aake khwaab mein jalwa dikha diya | 
| Mein so raha tha mera muqaddar jagaa diya | 
| Is karam ka karoon shukr, kaise ada. | 
| Unki jab shaan-e-kareemi pe nazar jaati hai | 
| Zindagi kitne maraahil se guzar jaati hai | 
| Be talab mujhko diye jaata hai dene waala | 
| Haath uthte nahi, niyat meri bhar jaati hai… | 
| Unke karam se bhar gaya, daaman-e-arzoo | 
| Itna mila ke ab koi haajat nahi rahi… | 
| Is karam ka karoon shukr, kaise ada | 
| Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya… | 
| Mein sajata tha sarkaar ki mehfiley | 
| Mujhko har gham se Rab ne baree kar diya… | 
| Zikr-e-sarkaar ki hai badi barkatein… | 
| Jab liya naam-e-Nabi, naam-e-Khudaa se pehle | 
| Ho gayi mujhpe ataa, meri khataa se pehle… | 
| Zikr-e-ahmed, ka wajeefa hai, har ek gham ka ilaaj | 
| Lakh khatrein ho, isi naam se tal jaate hai… | 
| Zikr-e-sarkaar ki hai badi barkatein | 
| Mil gayi raahatein, azmataein, rifaatein… | 
| Mein gunaahgar tha, be-amal tha, magar | 
| Mustafa ne mujhe jannatee kar diya… | 
| Lamhaa lamhaa hai mujhpar Nabi ki ataa | 
| Doston aur maangun mein maula se kya… | 
| Kya ye kam hai ke mere Khuda ne mujhe | 
| Apne mehboob ka ummati kar diya… | 
| Is karam ka karun shukr, kaise ada | 
| Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya… |