Informazioni sulla canzone In questa pagina puoi trovare il testo della canzone Khamoshiyan Gangunane Lagi, artista - Lata Mangeshkar. Canzone dell'album One Two Ka Four, nel genere Болливуд
Data di rilascio: 30.12.2001
Etichetta discografica: Saregama
Linguaggio delle canzoni: indonesiano
Khamoshiyan Gangunane Lagi |
Khamoshiyan gungunaane lagi |
Tanhaaiyan muskuraane lagi |
Sargoshi kare hawa, chupke se mujhe kaha |
Dil ka haal bataa, dilbar se naa chhupa |
Sunke baat yeh sharm se meri aankhen jhunk jaane lagi |
Khamoshiyan gungunaane lagi |
Tanhaaiyan muskuraane lagi |
Sargoshi kare hawa, chupke se mujhe kaha |
Dil ka haal bataa, dilbar se naa chhupa |
Sunke baat yeh sharm se meri aankhen jhunk jaane lagi |
Jaag utha hai sapna kiska meri in aankhon mein |
Ek nayi zindagi shaamil ho rahi saanson mein |
Kisi ki aandhi hai sadaa hawaaon mein |
Kisi ki baatein hai dabi si honton mein |
Raat din meri aankhon mein koi parchhaayi lehraane lagi |
Khamoshiyan gungunaane lagi |
Tanhaaiyan muskuraane lagi |
Dil ka yeh karwaan, yunhi tha rawaa dawaa |
Manzil na humsafar, lekin main maherbaan |
Teri voh ek nazar kar gayi asar |
Duniya savar jaane lagi |
Khamoshiyan gungunaane lagi |
Tanhaaiyan muskuraane lagi |
Sharmo hayaa se keh do khuda haafiz, o meri jaana |
Hai ghadi milan ki, khudaara laut ke na aana |
Raat ka parda hamaari hi khaatir |
Saje hai hum bhi to tumhaari hi khaatir |
Jaise jaise tum paas aate ho, saansein ruk jaane lagi |
Khamoshiyan gungunaane lagi |
Khamoshiyan gungunaane lagi |
Tanhaaiyan muskuraane lagi |
Tanhaaiyan muskuraane lagi |
Dil ka yeh karwaan, yunhi tha rawaa dawaa |
Manzil na humsafar, lekin main maherbaan |
Teri voh ek nazar kar gayi asar |
Duniya savar jaane lagi |
Khamoshiyan gungunaane lagi |
Tanhaaiyan muskuraane lagi |