| Morni re morni main jungle ki morni |
| Ha ha morni re morni main jungle ki morni |
| Pavan ki baandhu payal |
| Main ghata ki odhu odhani |
| Morni re morni main jungle ki morni |
| Ha ha morni re morni main jungle ki morni |
| (hoke sadke bahaar meri chaal pe |
| Mere raste mein phool bichhaye re) — 2 |
| Gora din chamkaye rang roop ko |
| Kali raat muska kaajal lagaye |
| Meri saheli banke hawa mere ang sang chali |
| Ho.morni re morni main jungle ki morni |
| Ha ha morni re morni main jungle ki morni |
| (kabhi peepal ke neeche chaanv mein |
| Kabhi panghat ke pichhe gaaon mein) — 2 |
| Aaisi naachti ophiru main baanwiri |
| Jaise baandhe ho ghunghru paaon mein |
| Nadi ki mauj ho jaisi main hu badi manchali |
| Ho.morni re morni main jungle ki morni |
| Ha ha morni re morni main jungle ki morni |
| (mujhe yeh aajkal kya ho gaya |
| Kaun pairon mein kaanta chubho gaya) — 2 |
| Chand raaton se neend meri kho gayi |
| Chain thode dino se mera kho gaya |
| Kisse na thaane dhoondu |
| Main iss gali se uss gali |
| Ho.morni re morni main jungle ki morni |
| Ha ha morni re morni main jungle ki morni |
| Pavan ki baandhu payal |
| Main ghata ki odhu odhani |
| Morni re morni main jungle ki morni |